Monday, February 28, 2005

Raastay...

Us ka chehra kabhi nazar na aaye
Paas us kay hain raat kay saaye

Ghar say nikla tha woh apni hi manzil ki taraf
Apni manzil par kuch aur raastay paaye

Mur kay dekha to mit gaye thay nishaan qadmon kay
Ye hawa zor par thi ab to kayi sadiyon say

Woh samjhta tha kay thum jaye ga us ka toofan
Ab bhala aur kisi raastay pay kyun jaaye

iffi Feb 28th, 05

0 Comments:

Post a Comment

<< Home