Manzilien Apni Jagah..
Manzilon Pay A kay Rukti Hain Dilon Ki Karavan
Kashtiyaan Saahil Pay Aksar Doobti Hain Pyar Ki

Manzilien Apni Jagah Raastay Apni Jagah
Jab Kadam Hi Saath Na Day, To Musafir Kya Karay

Doobnay waalay ko tinkay ka sahaara hi bohot
Dil Behel Jaye Fakat Itna Ishaara Hi bohot
Itnay Par bhi aasman wala gira day bijliyaan
Koi batlaye bhala yeh doobta phir kya karay

Yun to hai humdard bhi aur hum safar bhi hai mera
Barh kay koi haath na day, doobta phir kya karay

Pyaar karna jurm hay to jurm hum say ho gaya
Kabilay maafi howa kartay nahi aisay gunah
Tang dil hai yeh jahaan aur sang dil mera sanam
kya karay josh-e-junoon aur hosla phir kya karay
from the movie "Sharabi"

0 Comments:
Post a Comment
<< Home