Sunday, December 19, 2004

-zindagi-

mujh ko bhooli nahi hai meri zindagi
jis me tanhaiyaan hain kabhi thi kushi
din ko dewaaron se batein karta hoon mein
raat ko chand se phir ulhajta hoon mein
mujh se kehta hai woh bewafa too nahi
teri tanhaiyon ki wajah too nahi
phir bhi mujh ko nahi aaj tak yeh yaqeen
meri tanhai bhi meri apni nahi
jis ki yaadon mein jina pare ga mujhe
dil pe pathar bhi rakhna pare ga mujhe
us se poochhe koi meri kiya thi khata
aisi kiya baat thi jis ki hai ye sazaa
dil ki gehrai se us ko chaaha magar
us ne samjha mujhe shaid ik rah guzar
khud ko mein bhool kar phir tha us mor par
they wahaan ajnabi aur tanhaa safar


by iffi(2001)

0 Comments:

Post a Comment

<< Home