Thursday, December 30, 2004

Change...

Some say that in order to change things one has to change one's self. But if it is true. Then whats the point of being yourself in the first place?

Monday, December 27, 2004

Thum Gayi Hai....

Thum Gayi Hai Zindagi Aur Waqt Yeh Rukta Nahi
Bayhissi Kay Is Daur Mein Is Baykhudi Say Shiqwa Nahi

Ek Kinaray Pay Hum Kharay Aur Waapsi Ka Rasta Nahi

Saamnay Hain Kuch Raastay Jin Say Mera Rishta Nahi

Iffi (2004)

Monday, December 20, 2004

A Child's View...



Somethings are worth looking into...

Manzilien Apni Jagah..

Manzilon Pay A kay Rukti Hain Dilon Ki Karavan
Kashtiyaan Saahil Pay Aksar Doobti Hain Pyar Ki
Manzilien Apni Jagah Raastay Apni Jagah
Jab Kadam Hi Saath Na Day, To Musafir Kya Karay
Doobnay waalay ko tinkay ka sahaara hi bohot
Dil Behel Jaye Fakat Itna Ishaara Hi bohot
Itnay Par bhi aasman wala gira day bijliyaan
Koi batlaye bhala yeh doobta phir kya karay
Yun to hai humdard bhi aur hum safar bhi hai mera
Barh kay koi haath na day, doobta phir kya karay
Pyaar karna jurm hay to jurm hum say ho gaya
Kabilay maafi howa kartay nahi aisay gunah
Tang dil hai yeh jahaan aur sang dil mera sanam
kya karay josh-e-junoon aur hosla phir kya karay

from the movie "Sharabi"

Sunday, December 19, 2004

Stone

Drowned in the thoughts
I was singing all those songs
That I wrote down on the face of my desire

Deep in my dreams
I was listening to your screams
As I stood there in your eyes like a liar

Damn. I was cruel
I was acting like a fool
Cuz I never knew the meaning of your pain

Now I'm alone
Turning Human from a Stone
But all i see is a bloody sky and heavy rain

by iffi (1999)

Bay Naam

Begunaah nahi ghum mera magar
Har khata pay ruktay rahay
Faasilay se shikwa raha magar
Silsilay to bantay rahay
Kuch sawalon say juri hai,

Ek meri fariyaad

Chor kar aye thay jo kabhi
Woh nishaan bhi jaatay rahay
Rukh badal kar yeh hawa chali
Aur qadam murtay rahay
In hawaon mien hai suni
Ek yehi fariyaad

by iffi (2004)

-zindagi-

mujh ko bhooli nahi hai meri zindagi
jis me tanhaiyaan hain kabhi thi kushi
din ko dewaaron se batein karta hoon mein
raat ko chand se phir ulhajta hoon mein
mujh se kehta hai woh bewafa too nahi
teri tanhaiyon ki wajah too nahi
phir bhi mujh ko nahi aaj tak yeh yaqeen
meri tanhai bhi meri apni nahi
jis ki yaadon mein jina pare ga mujhe
dil pe pathar bhi rakhna pare ga mujhe
us se poochhe koi meri kiya thi khata
aisi kiya baat thi jis ki hai ye sazaa
dil ki gehrai se us ko chaaha magar
us ne samjha mujhe shaid ik rah guzar
khud ko mein bhool kar phir tha us mor par
they wahaan ajnabi aur tanhaa safar


by iffi(2001)

A Graphic Expression of Dehek by Faizan Q.

Designed by FAIZAN QAMAR for DEHEKONLINE[DOT]COM (2004)

Lapata

jissay chah kar bhi na chah sakay
ussay kya kahoon kay milla to kya
rehi justuju meri har kadam

kabhi tum bhi dekh lo usay
jissay log jantay to hain
par samajh nahi sakay jissay
woh jo raat bhar say hai jal raha
woh jo shaam say hai khaffa khaffa
jissay aas thi jissay tha nasha
usay kya kahoon kay milla to kya

By Iffi
(2004)